achay parosi aik aisi kahani hy jis mein Darya kinare aik pursukoon gaon mein choti si basti thi jahan cheentiyan mehnat, musiqi aur aman ke sath rehti thin. Magar jab fakhtaain apne ghonslay banane aa pohonchein, to gaon ka sukoon khatrey mein par gaya.Dono ke darmiyan barhti hui tanaz aur jang ki tayariyon ne soorat-e-haal ko sangeen bana diya. Aise mein shikari Afzal, jo parindon aur hashrat ki zaban samajh sakta tha, is maslay ka hal nikalne ke liye maidan mein aaya.
Kya Afzal jang ko rokne mein kamyab hoga? Ya fakhtaain Cheent Abad ko tabah kar dengi? Is kahani mein dosti, hikmat aur qurbani ki ek dilkash jhalak dekhne ko milti  hai.